"Kuch Jazbaat" can say everything in its own beautiful way and connected somewhere us to our heart with our deep emotions. It's express our Feeling, Love, Affection, Care, Sorrow and Pain.

Friday, July 11, 2014

Ranjish Hi Sahi, Dil Hi Dukhaane Ke Liye Aa

Ranjish Hi Sahi, Dil Hi Dukhaane Ke Liye Aa,
Aa Fir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa,

Kuch To Mere Pindaare-Mohabbat Ka Bharam Rakh,
Tu Bhi To Kabhi Mujhko Manaane Ke Liye Aa,

Pehle Se Mrasim Na Sahi Fir Bhi Kabhi To,
Rasmo-Rahe-Duniya Hi Nibhaane Ke Liye Aa,

Kis-Kis Ko Batayenge Judai Ka Sabab Hum,
Tu Mujhse Khafa Hai To Zamaane Ke Liye Aa,

Ek Umar Se Hoon Rone Se Bhi Mehroom,
E Raahte-Jaan Mujhko Rulaane Ke Liye Aa,

Ab Tak Dil Ko Tujhse Hain Kuch Umeedein,
Yeh Aakhri Shamayein Bhi Bhujhaane Ke Liye Aa,

Mana Ki Mohabbat Ka Chhupana Hai Mohabbat,
Chupke Se Kise Roz Jataane Ke Liye Aa,

Jaise Tujhe Aatein Hain, Na Aane Ke Bahaane,
Aise Hi Kisi Roz Na Jaane Ke Liye Aa ♥♥♥..!!

No comments: