"Kuch Jazbaat" can say everything in its own beautiful way and connected somewhere us to our heart with our deep emotions. It's express our Feeling, Love, Affection, Care, Sorrow and Pain.

Tuesday, April 22, 2014

Aaj Phir Dard Mein Mera Ye Dil Doob Gaya Hai,

Aaj Phir Dard Mein Mera Ye Dil Doob Gaya Hai,
Shaayad Koi Dil Kaa Tukdaa Peechey Choot Gaya Hai,

Jiske Haathon Ko Haath Mei Thaame Chali Thi Mei,
Woh Haath Aaj Mujhse Jaane Kahaan Choot Gaya Hai,

Jiske Paas Apne Pyar Ka Khazana Thamaya Tha,
Woh Behroopi Aaj Mujhe Sar E Bazaar Loot Gaya Hai,

Khile The Jo Phool Bahaaron Mein Pyaar Banke,
Aaj Wo Har Masum Phool Apni Daali Se Toot Gaya Hai,

Durakhsha Aankhon Ne Jo Khwaab Sajaaye The,
Aaj Wo Har Khoobsurat Khwaab Meraa Toot Gaya Hai,

Jise Paane Par Apni Kismat Pe Naaz Hua Tha Kabhi,
Aaj Wahee Naseeb Uske Bina Mujhse Rooth Gaya Hai,

Jiske Vaadon Pe Jaan Se Zyada Yakeen Tha Mujhko,
Aj Woh Gazab Aaina Mere Aitbaar Ka Phoot Gaya Hai,

Jis Waqt Ne Kabhi Daaman Mein Gul Jade The Mere,
Wahi Waqt Aj Mujhko Nok-E-Khaar Se Koot Gaya Hai ♥♥♥..!!

No comments: