Wo poochta hai, main usse itna pyaar kyun karti hun ?
Maine kaha, ek tamanna hai tumhe paane ki !!
Wo Kehta hai har waqt udaas kyun rehte ho ?
Maine kaha, koshish hai tumhe har Khushi dilaane ki !!
Wo Kehta hai Har waqt sochte kyun rehte ho ?
Maine Kaha, aadat ho gayi hai tumhe khayaalon mein apna banaane ki !!
Wo kehta hai main na mila to ?
Maine kaha, to tamanna hai ye zindgi mitaane ki !!
Wo Kehta hai tumhe kya milega mar kar ?
Maine Kaha ek ummeed to ho jaegi agley Janam mein tumhe apna banaane Ki ♥♥♥..!!!
No comments:
Post a Comment