"Kuch Jazbaat" can say everything in its own beautiful way and connected somewhere us to our heart with our deep emotions. It's express our Feeling, Love, Affection, Care, Sorrow and Pain.

Tuesday, March 25, 2014

Ab Hum Kisi Ki Tamanna Na Karenge

Ab Hum Kisi Ki Tamanna Na Karenge,
Ab Raah Kisi Ki Bhi Na Dekha Karenge,

Mere Dard Se Wakif Na Ho Jaaye Tera Saya,
Ab Is Andhere Kamre Mein Ujala Na Karenge,

Kyon Jhanke Khidkiyon Se Kyon Dar Pe Khade Ho,
Hum, Dard-E-Dil Ko Bayaan Na Karenge,

Tadpaya Rulaya Hai, Woh Jab Bhi Mile Hain,
Ab Paigam Bhi Aaye Toh Jaya Na Karenge,

Muddat Se Rakkhi Hai Takiye Ke Neeche Mere,
Teri Us Tasveer Se Dil Bahlaya Na Karenge,

Aankhe Jali, Rooh Jali, Dil Jala, Zism Jala,
Diya Umeed Ka Palkon Par Jalaya Na Karenge ♥♥♥..!!!

No comments: