"Kuch Jazbaat" can say everything in its own beautiful way and connected somewhere us to our heart with our deep emotions. It's express our Feeling, Love, Affection, Care, Sorrow and Pain.

Wednesday, May 8, 2013

Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai


Kabhi tumne bhi socha hai ke yeh pyaas hai to kyun hai?
Tujhe Paake bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai?
Mujhe kyun aziz tarr hai yeh dhuan dhuan sa mosam
Ye hawa-e-shaam-e-hijraan mujhe raas hai to kyun hai?
Tujhe Kho ke sochta hoon, Mere daman-e-talab mein
Koi Khwab hai to kyun hai, koi aas hai to kyun hai?
Mein ujar ke bhi hoon tera, to bichar ke bhi hai mera
Yeh yaqeen hai to kyun hai, yeh pyaas hai to kyun hai?
Mary tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahi hain
Ke mere badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai?
Kabhi pooch us ke dil se ke ye khush mizaaj shayar
Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai?
Tera kis ne dil bujhaya, Mere ‘aitbaar-e-abhi’
Ye charagh-e-hijra ab tak, tere paas hai to kyun hai ♥♥♥..?