"Kuch Jazbaat" can say everything in its own beautiful way and connected somewhere us to our heart with our deep emotions. It's express our Feeling, Love, Affection, Care, Sorrow and Pain.

Wednesday, May 29, 2013

Beeta waqt hain ya badalti hawa

Beeta waqt hain ya badalti hawa,
Zehn mein kyun hain uski yaadon ki chalti hawa,

Gesuoon ko jhatak kar jala do isse bhi,
Mere bhadakte dil ki machalti hawa,

Soya tha tamaam-e-naalaa-e-muflisi kar ke,
Aur yaad aa gayi tere badan ki muskabuu si nikalti hawa,

Kheench naa le apni sehmi sehmi adaa se,
Acchi nahin toofaan-e-hasti ki sambhalti hawa,

Taaraaz karoon kis baat se yeh viraan sahan,
Marhale hain wasl mein, aur phir yeh umr ki phigulti hawa,

Kahaan tak jaana hain 'Qazaa' tumhein,
Khaak kardegi yeh ahl-e-duniya ki bad-hawaai se jalti hawa ♥♥♥..!!