"Kuch Jazbaat" can say everything in its own beautiful way and connected somewhere us to our heart with our deep emotions. It's express our Feeling, Love, Affection, Care, Sorrow and Pain.

Wednesday, May 8, 2013

Aye moj-e-hawa, Ab tu hi bata

Aye moj-e-hawa, Ab tu hi bata,
Woh yaar hamara kaisa hai?

Jo bhool gaya hum ko kab se,
Woh jaan se pyara kaisa hai ?

Kya uske jeewan ke lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?

Kya uski jaagti aankhon mein,
Meri yaad se bhari udasi hai ?

Kya wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?

Kya wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain khuda se manga karta hai ?

Agar aisa nahi toh tu hi bata
Hum yaad use kyun kartay hain ?

Wo humse bichar kar khush hai agar hum pal pal kyun marte hain ♥♥♥..?